Jazbaat Ka KHamosh Asar Dekh Raha Hun
jazbaat ka KHamosh asar dekh raha hun
bechain hai dil aankh ko tar dekh raha hun
KHakistar-e-parwana hai bujhti hui shamen
rangin mohabbat ki sahar dekh raha hun
mauhum hua jata hai ab maqsad-e-hasti
baatil ko haqiqat pe zabar dekh raha hun
chhae hain kuchh is tarah mere dida-o-dil par
har samt wahi hain main jidhar dekh raha hun
manzil ka pata hai na maqamat safar ka
tayyar hai ab raKHt-e-safar dekh raha hun
jis rah se guzre the mohabbat ke musafir
sunsan wahi rahguzar dekh raha hun
ai 'mauj' bala-KHez hai dariya-e-mohabbat
tufan ka aalam hai jidhar dekh raha hun
(434) Peoples Rate This