Jahan Gham Hai Na Ab Koi KHushi Hai
jahan gham hai na ab koi KHushi hai
mohabbat us jagah par aa gai hai
jise dekho use apni paDi hai
zamane ki bahut haalat giri hai
musalsal fikr-e-duniya fikr-e-uqba
ab aisi zindagi kya zindagi hai
main apne dil ki baaten kah raha hun
zamane ke liye ye shairi hai
sakun milta hai un ki yaad kar ke
ilaj-e-tishnagi KHud tishnagi hai
dilon mein hai andhera ahd-e-nau ka
ba-zahir raushni hi raushni hai
baDi mushkil hai mir-e-karwan ki
bahut phaili hui be-rah-rawi hai
nai tahzib mein sab kuchh hai lekin
faqat insaniyat hi ki kami hai
ye lagta hai taraqqi kar rahe hain
girawaT rose baDhti ja rahi hai
kahin patthar na phike ye zamana
teri fikr-o-amal shishagari hai
uTha hai ek kone mein dhuan sa
kahin shayad koi bijli giri hai
karun ai 'mauj' kya ummid-e-sahil
ki ab tufan mein kashti ghiri hai
(401) Peoples Rate This