Jab Hum Hudud-e-dair-o-haram Se Guzar Gae
jab hum hudud-e-dair-o-haram se guzar gae
har samt un ka jalwa ayan tha jidhar gae
is tarah wo nigah-e-karam aaj kar gae
dil ko surur-e-baada-e-ulfat se bhar gae
wo hum ko apne dil ke hi andar nihan mila
jis ki talash karte hue dar-ba-dar gae
kuchh ahl-e-zarf dekhte hain us ke nur ko
mahrum didiyon ko bahut dida-war gae
dil le gaya hamein phir usi bewafa ke pas
jaana nahin tha hum ko jahan hum magar gae
wo aa gae to jal uThe ummid ke charagh
wo hans diye to bazm mein moti bikhar gae
aankhon mein ashk-e-gham liye hum waqt-e-alwida
nazron se un ke sath ta-hadd-e-nazar gae
dekha hamein to garam-nigahi pighal gai
mizhgan ke tir bhaun ki kaman se utar gae
un ke mazid wadon pe kaise yaqin ho
ab tak jo wada kar ke barabar makr gae
ye aur aur baat phir gaya pani ummid par
hum un ki bazm mein kisi ummid par gae
phir us ko purshish-e-gham-e-ulfat se faeda
ghuT ghuT ke jis ke sine mein arman mar gae
ai 'mauj' meri kashti-e-ulfat wahin rahi
tufan mere chaaron taraf se guzar gae
(345) Peoples Rate This