Haal-e-dil Sun Ke Mera Sar-ba-gareban Kyun Hain
haal-e-dil sun ke mera sar-ba-gareban kyun hain
jo kiya aap ne ab us pe pasheman kyun hain
mad-bhare nain ye aur husn-o-jawani ka nikhaar
aaina dekh ke aaj aap bhi hairan kyun hain
meri har sai-e-wafa ho gai be-kar magar
dil mein phir bhi mere baDhte hue arman kyun hain
meri nakaamiyon ka marsiya paDhne ke bajae
kuchh bataen to sahi aap ghazal-KHwan kyun hain
pahle aaghaz-e-mohabbat mein sahaara de kar
aap ab meri mohabbat se pareshan kyun hain
mere ashaar to paDhte hain baDe shauq se aap
aur ashaar ke KHaliq se gurezan kyun hain
bahr-e-ulfat mein safine to bahut hain ai 'mauj'
meri hi kashti ko ghere hue tufan kyun hain
(413) Peoples Rate This