Dil Mein Bandon Ke Bahut KHauf-e-KHuda Tha Pahle
dil mein bandon ke bahut KHauf-e-KHuda tha pahle
ye zamana kabhi itna na bura tha pahle
ram ke raj ki taswir thi apni dharti
maslak-e-fikr-o-amal uns-o-wafa tha pahle
ek insan se be-wajh ho insan ko bair
ye watira kabhi dekha na suna tha pahle
hindu-o-muslim-o-isai-o-sikh mel se the
aapsi prem ka ulfat ka maza tha pahle
qaumi yak-jehti ka aadarsh tha ye bhaaratwarsh
hum ne paigham-e-wila sab ko diya tha pahle
baadshah aur gada sab ke barabar the huquq
nayay mein koi bhi chhoTa na baDa tha pahle
rast-goi thi yahan ghair-muqaffal the makan
desh mein aisa bhi ek daur raha tha pahle
desh mein phir se mohabbat ho rawadari ho
kash aa jae zamana jo raha tha pahle
maujzan rahta tha tufan-e-uKHuwat ai 'mauj'
dil mein tufan mohabbat ka basa tha pahle
(444) Peoples Rate This