BichhaD Ke Un Ke Hum Is Ehtimal Se Bhi Gae
bichhaD ke un ke hum is ehtimal se bhi gae
bayan-e-gham se gae arz-e-haal se bhi gae
thi jin ki yaad se raushan KHayal ki duniya
wo aise ruThe bisat-e-KHayal se bhi gae
nigahen milne se mumkin hai pyar aa jae
hum un ki bazm mein kuchh is KHayal se bhi gae
unhon ne aa ke koi haal tak nahin puchha
banawaTi hi sahi indimal se bhi gae
dil un ko de ke bahut mutmain hue hum bhi
ki rose rose ki ab dekh-bhaal se bhi gae
nigah-e-lutf nahin to nigah-e-qahr sahi
sitam to ye hai hum is ehtimal se bhi gae
wo aae chin-ba-jabin is liye sar-e-mahfil
hum un se ab to jawab-o-sawal se bhi gae
dil ek piyala tha miTTi ka wo bhi TuT gaya
nigah milte hi jam-e-sifal se bhi gae
KHuda pe chhoD ke ai 'mauj' kashti-e-ulfat
sukun pa gae fikr-e-maal se bhi gae
(409) Peoples Rate This