Tanha Tera KHuda Nahin Ai Aashna-e-raaz
tanha tera KHuda nahin ai aashna-e-raaz
tera bhi karsaz hai mera bhi karsaz
kya kahiye rahguzar-e-mohabbat ki dastan
jo dushman-e-sukun hai wo hai mera chaarasaz
ai jaan-e-muddaa meri jannat meri hayat
tera KHayal teri tamanna meri namaz
naghme bhi hain pasand mujhe soz bhi aziz
sarmaya-e-wafa hai meri zindagi ka saz
kya din dikhae dekhiye insan ki sar-kashi
sajdon se pa raha hun jabinon ko be-niyaz
paigham-e-zindagi hai mohabbat ki har ada
yani gunahgar-e-mohabbat hai pak-baz
insaniyat hai marg-e-musalsal se ham-kanar
mango dua hayat rahe gham se sarfaraaz
ab tak hain yaad mujh ko wo paiham tajalliyan
kitna nazar-nawaz tha har manzar-e-hijaz
mujh ko 'matin' naz hai apne nasib par
main banda-e-nasir hun main KHadim-e-niyaz
(451) Peoples Rate This