Taghayyuraat Se Kab Rabt-e-gulsitan Na Raha
taghayyuraat se kab rabt-e-gulsitan na raha
bahaar aai to kya KHatra-e-KHizan na raha
jabin jhukai to jannat KHarid li jaise
samajh rahe hain ki ab koi imtihan na raha
faza mein gunj rahi hain kahaniyan gham ki
hamin ko hausla-e-sharh-e-dastan na raha
unhen to hashr mein bhi hai KHayal-e-ruswai
hamein KHushi hai koi parda darmiyan na raha
gham-e-maal gham-e-zindagi gham-e-dauran
hamare ishq ka charcha kahan kahan na raha
hawa palaTte hi har zaKHm ho gaya taza
bahaar-e-ishq ko andesha-e-KHizan na raha
'matin' qadr hui aah kab nasheman ki
chaman mein barq ke laeq jab aashiyan na raha
(414) Peoples Rate This