KHulus-e-tamir Ho Jo Shamil Sitam Ka Jazba Bura Nahin Hai
KHulus-e-tamir ho jo shamil sitam ka jazba bura nahin hai
wafa karenge wo kya kisi se jinhen shuur-e-jafa nahin hai
teri samajh mein na aa sakegi kisi ke ashkon ki qadr-o-qimat
abhi hai na-ashna-e-gham tu abhi tera dil dukha nahin hai
wafa ki azmat se aashna hain kahen to rudad-e-gham kahen kya
tujhe nadamat ho jis ko sun kar wo dastan-e-wafa nahin hai
KHuda-na-karda tumhaare dil ko koi dukhae to kya karoge
nigahen tum ne to aisi pherin ki jaise mera KHuda nahin hai
wo khoya khoya sa un ka aalam labon pe halki si muskurahaT
ada ye un ki 'matin' jaise suna bhi hai aur suna nahin hai
(699) Peoples Rate This