Hum Jo Insan Ke Gham UThate Hain
hum jo insan ke gham uThate hain
KHub ko KHub-tar banate hain
zindagi KHwab hi sahi lekin
KHwab tabir chhoD jate hain
be-haqiqat masarraton ke liye
zindagi bhar fareb khate hain
mangte hain duaen jine ki
aur jina hi bhul jate hain
sochi-samjhi wahi tamannaen
roz KHake nae banate hain
aap se yaad aap ki achchhi
aap to hum ko bhul jate hain
karwan-e-hayat mein KHud ko
har qadam ajnabi sa pate hain
jab bhi banta hai koi shish-mahal
kitne aaine TuT jate hain
zehn-o-dil ki riqabaten tauba!
kaise kaise KHayal aate hain
dosti kya hai KHud-satai hai
sab 'matin' apne kaam aate hain
(422) Peoples Rate This