Hae Urdu Ye Siyasat Teri Jagir Ke Sath

hae urdu ye siyasat teri jagir ke sath

koi 'ghaalib' ka taraf-dar koi 'mir' ke sath

zindagi ek safar KHauf ki zanjir ke sath

maut ek KHwab-e-giran hashr ki tabir ke sath

har ada husn ki mahfuz hai tasir ke sath

bolti chalti thirakti hui taswir ke sath

zabt ki had se guzar kar bhi dua karta hun

shikwa-bar-lab hun magar jazba-e-tamir ke sath

jaani-pahchani hui shakl bhi mubham si lage

zindagi ka ye fusun apni hi taswir ke sath

ab to Thokar bhi lage to nahin uThti jhankar

pahle aawaz thi har jumbish-e-zanjir ke sath

dida-e-said se aagah na dil se waqif

ajnabi kaun hai tarkash mein tere tir ke sath

apni qismat ke jo malik hain ye un se puchho

rabt tadbir ko hota hai jo taqdir ke sath

faiz-e-mausam hi sahi sehr-e-taghayyur hi sahi

barq girti hai magar aah ki tasir ke sath

apni taswir se ek ishq sa hota hai 'matin'

ye junun aur fuzun hota tashhir ke sath

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hae Urdu Ye Siyasat Teri Jagir Ke Sath In English By Famous Poet Matin Niazi. Hae Urdu Ye Siyasat Teri Jagir Ke Sath is written by Matin Niazi. Read famous Poem Hae Urdu Ye Siyasat Teri Jagir Ke Sath for youth and Student by Matin Niazi. Free Download Hae Urdu Ye Siyasat Teri Jagir Ke Sath in PDF.