Gham-e-insan Ki Sajai Hui Duniya Hun Main

gham-e-insan ki sajai hui duniya hun main

anjuman mere tasawwur mein hai tanha hun main

tapish o dard ke asrar se waqif hun magar

mujh ko ye zoam nahin hai ki masiha hun main

jaane kya shai mere sine mein bhari hai aisi

sham-e-sozan ki tarah jalta pighalta hun main

na kashish hun main zamin ki na hun pani ka uchhaal

zarre uDta hua bahta hua dariya hun main

roz paigham-e-mohabbat mujhe deti hai hayat

rah-e-dushwar se aasuda guzarta hun main

chaarasazi gham-e-insan ki hai buniyaad-e-amal

zindagi hai yahi jis ke liye jita hun main

pairwi-e-hawas-e-KHam na hogi mujh se

maqsad-e-zabta-e-ishq samajhta hun main

asr-e-hazir ke numainda hain mere ashaar

gham-e-insan ko taghazzul mein samota hun main

jazba-e-KHidmat-e-insan hai 'matin' aab-e-hayat

shukr-sad-shukr ai ehsas ki achchha hun main

(352) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-insan Ki Sajai Hui Duniya Hun Main In English By Famous Poet Matin Niazi. Gham-e-insan Ki Sajai Hui Duniya Hun Main is written by Matin Niazi. Read famous Poem Gham-e-insan Ki Sajai Hui Duniya Hun Main for youth and Student by Matin Niazi. Free Download Gham-e-insan Ki Sajai Hui Duniya Hun Main in PDF.