Aadmi Aur Dard Se Na-ashna Mumkin Nahin

aadmi aur dard se na-ashna mumkin nahin

aks se KHali ho koi aaina mumkin nahin

aadmi insan-e-kaamil ban to sakta hai magar

zindagi bhar rah sake wo parsa mumkin nahin

do kinare jaise dariya ke nahin milte kabhi

hum se iqdam-e-jafa un se wafa! mumkin nahin

kar-farma jab rahe barq-e-nazar aaThon pahar

shahr bhar mein ho na koi hadsa! mumkin nahin

kis qadar himmat-shikan hai gumrahi ka ye jawaz

rahbari az-ibtida ta-intiha mumkin nahin

shisha koi chur ho jae to phir kis kaam ka

miT ke ho aabaad aiwan-e-wafa mumkin nahin

aap patthar ko nichoDen is se kya hasil 'matin'

tang-dil insan ho haq-ashna mumkin nahin

(394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aadmi Aur Dard Se Na-ashna Mumkin Nahin In English By Famous Poet Matin Niazi. Aadmi Aur Dard Se Na-ashna Mumkin Nahin is written by Matin Niazi. Read famous Poem Aadmi Aur Dard Se Na-ashna Mumkin Nahin for youth and Student by Matin Niazi. Free Download Aadmi Aur Dard Se Na-ashna Mumkin Nahin in PDF.