Zindagi Ke Saz Par Jalte Hue Naghmat Hain
zindagi ke saz par jalte hue naghmat hain
raqs-farma shoala-e-dil ki tarah zarraat hain
hain bagulon ki tarah tar-e-nafas bahke hue
zindagani ki junun-parwar sabhi aayat hain
naz-farma jin ki tabani pe thi aql-e-bashar
aaj wo KHurshid-o-anjum kitne kam-auqat hain
hum ki the dildari-e-mauj-e-hawadis par nisar
shor-e-tufan se ayaadat dil-nashin jazbaat hain
jin ko rakhti thi moattar teri yaadon ki shamim
tegh ki jhankar mein gum wo hasin din-raat hain
waqt ki mehrab mein ek sham-e-nau raushan karen
raazdan-e-arzu hum waris-e-afat hain
kaun DhunDe garmi-e-ruKHsar-e-KHuban ai 'sarosh'
aatish-e-paikar se shoala-fagan jazbaat hain
(442) Peoples Rate This