Aawargam-e-sahra Ku-e-sanam Na DhunDen
aawargam-e-sahra ku-e-sanam na DhunDen
jalwon ki wo bahaaren zulfon ke KHam na DhunDen
ai shahr-e-sang tujh mein zaKHmon ki kya kami hai
tegh-e-ada-e-jalwa behtar hai hum na DhunDen
wo aabru-e-wahshat laen to ab kahan se
wo jannat-e-tamanna wo dasht-e-gham na DhunDen
hasil na hoga kuchh bhi juz dagh-o-dard-e-ibrat
ahl-e-wafa hamara naqsh-e-qadam na DhunDen
maqsad hai sirf itna wadon ki chandni ka
KHwab-e-sahar to dekhen tabir hum na DhunDen
hum be-niyaz guzre shohrat ki sazishon se
nam-o-nishan hamara ahl-e-qalam na DhunDen
jaan di 'sarosh' hum ne rah-e-KHulus-e-gham mein
fard-e-amal hamari dair-o-haram na DhunDen
(383) Peoples Rate This