Zindagani Ka KHala
zindagani ka KHala
ye na bhar paya kabhi
lala-o-gul ko kabhi pyar kiya
raat-bhar taron ko bedar kiya
kam na hoti thi magar dil ki kasak
dil ka gham aankhon se barsaya kabhi
ye na bhar paya kabhi
zindagani ka KHala
bhar liya us mein kabhi dard-e-chaman
kabhi be-nam maqasid ki lagan
jin se ehsas bhi jata tha bahak
shisha-e-dil ko bhi chhalkaya kabhi
ye na bhar paya kabhi
zindagani ka KHala
fan ki dewi ne bhi barsai sharab
waqt ki mauj ne phenke dur-e-nab
jin se aai mere KHwabon mein chamak
ji zara un se bhi bahlaya kabhi
ye na bhar paya kabhi
zindagani ka KHala
(439) Peoples Rate This