Tere Dayar Mein Koi Bhi Ham-zaban Na Mila
tere dayar mein koi bhi ham-zaban na mila
hazar naqsh mile koi raazdan na mila
main sochta hun ki ye bhi hasin hain lekin
tasawwur-e-ruKH-e-jaanan ka imtihan na mila
ye sach nahin hai ki chhuTne ke baad jaan-e-visal
tujhe zamin na mili mujh ko aasman na mila
ada-e-KHas mili aur sala-e-am mili
magar kahin bhi wo andaz-e-jaan-e-jaan na mila
gada-shanasi-e-ahal-e-karam musallam hai
hum uTh ke jis ke qadam len wo pasban na mila
jahan bhi dekha wahin paya tujh ko jaan-e-visal
teri nigah ka partaw kahan kahan na mila
wo dil hi kya jo mohabbat se aashna na hua
safina kya wo jise bahr-e-be-karan na mila
kise sunaen ghazal bahr-e-sharh-e-dil 'masud'
ki is dayar mein koi bhi nukta-dan na mila
(401) Peoples Rate This