Jaan Bhi Pur-soz Ho Anjam-e-tamanna Kya Hai
jaan bhi pur-soz ho anjam-e-tamanna kya hai
koi batlae ki jine ka bahana kya hai
meri aankhon mein nami bhi ho to wallah kya hai
koi bhi jis ko na dekhe wo tamasha kya hai
wo na chahen to maza chah mein phir KHak mile
hum agar chahen bhi bil-farz to hota kya hai
dil sulagta hai sulagta rahe jalta hai jale
aisi baaton se bhala ishq mein banta kya hai
hum se mansub hain ummid-o-tamanna-o-KHayal
koi dekhe to zara aap ka naqsha kya hai
aql samjhaegi bahlaegi phuslaegi
dil ki chhalni se magar dekhiye chhanta kya hai
be-KHabar kitne the 'masu' rumuz-e-gham se
main jo roya to kaha dard se rota kya hai
(396) Peoples Rate This