Hazar Bar Use Nakaamiyon Ne Samjhaya
hazar bar use nakaamiyon ne samjhaya
magar ye dil teri ulfat se baz kab aaya
wahi lagan hai ki chaliye jahan kahin tu ho
wahi chubhan ki mohabbat se hum ne kya paya
khulega raaz ki aanchal ki kya haqiqat hai
kabhi jo sar se mohabbat ke ye Dhalak aaya
gulon ke ghaw bhi shabnam se dhul sake hain kabhi
ki ashk ne mere zaKHmon ko aur mahkaya
wo kya maqam hai daman ki aarzu mein nadim
jahan pe dast-e-tamanna bhi ja ke tharraya
yahan bahaar na jaan-e-bahaar hai 'masud'
kahan se turfa ghazal aaj phir ye kah laya
(351) Peoples Rate This