Aaj Bhi Tishna-labi Tishna-labi Hai Ai Dost

aaj bhi tishna-labi tishna-labi hai ai dost

kya na chhalkegi jo aankhon mein bhari hai ai dost

jo kami pahle thi wo phir bhi kami hai ai dost

ye jo thoDi si hansi zer-e-labi hai ai dost

aap ko dekh mere zauq-e-fana ko bhi dekh

ye teri shishagari dard-sari hai ai dost

mai-e-gulfam mein kuchh durd-e-tah-e-jam sahi

wo KHushi kaisi KHushi jis mein kami hai ai dost

KHak mein rang-e-gulistan ko bhala dekh sakun

meri aankhon mein agar itni nami hai ai dost

tab-e-parwaz thi jin ko wo gae bhi 'masu'

hum kahan jaen ki be-baal-o-pari hai ai dost

(446) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Bhi Tishna-labi Tishna-labi Hai Ai Dost In English By Famous Poet Masud Husain Khan. Aaj Bhi Tishna-labi Tishna-labi Hai Ai Dost is written by Masud Husain Khan. Read famous Poem Aaj Bhi Tishna-labi Tishna-labi Hai Ai Dost for youth and Student by Masud Husain Khan. Free Download Aaj Bhi Tishna-labi Tishna-labi Hai Ai Dost in PDF.