Nazm Ki Shaera
jis ke sheron ki laDiyan
mohabbat ke mathe ka singhaar thin
jis ke be-tab jazbon ki miThi kasak
lutf ki dastanon ka unwan thi
jo gulabi ruton ka mahakta hua surKH paiman thi
aaj KHamosh hai
nafraton ke alaw se uThta dhuan
zard shamon ke is matami ahd ko
de gaya hai sulagte lahu ki humak
phul ka ishq pesha gulabi badan
qabr ke zard katbe ka darban hai
titliyan mar chukin!
chand KHamosh hai
jugnuon ka qabila siyah-posh hai
nazm ki shaera!
marsiye mangti, be-gunahi ka taza lahu thukti
uDte barud ke zahr se khansti
hanpti-kanpti nazm kaise likhe
(470) Peoples Rate This