Dushman Ke Tanz Ko Bhi Saliqe Se Tal De
dushman ke tanz ko bhi saliqe se Tal de
apne mazaq-e-taba ki aisi misal de
baKHshe bahaar ko jo na shaistagi ka rang
aisi har ek shai ko chaman se nikal de
pichhli ruton ke dagh to sab mand paD gae
ab ke bahaar zaKHm koi la-zawal de
main bhi to rah-rau hun tera rahguzar-e-shauq
thoDi si dhul meri taraf bhi uchhaal de
'masum' saf-goi baDi chiz hai magar
aisa na ho kahin ye musibat mein Dal de
(499) Peoples Rate This