Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_169f294fa4dcbb8814d624b78d1b495b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Hai Ki Justuju Ke Sarabon Mein Qaid Hai - Masoom Sharqi Poetry In English - Darsaal

Dil Hai Ki Justuju Ke Sarabon Mein Qaid Hai

dil hai ki justuju ke sarabon mein qaid hai

warna har ek chehra naqabon mein qaid hai

fursat kahan ki DhunDe gham-e-dahr ka ilaj

har shaKHs apne gham ke hisabon mein qaid hai

kya KHak hon nasib yahan sar bulandiyan

josh-e-amal to aaj kitabon mein qaid hai

tasKHir-e-kaenat ki mohlat kise yahan

har zehn apne jumla hisabon mein qaid hai

sune paDe hain dil ke dar-o-baam in dinon

jalwon ka ehtimam hijabon mein qaid hai

le de ke bach rahi hai jo tahzib ki zaban

'masum' wo bhi aali-janabon mein qaid hai

(461) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Hai Ki Justuju Ke Sarabon Mein Qaid Hai In English By Famous Poet Masoom Sharqi. Dil Hai Ki Justuju Ke Sarabon Mein Qaid Hai is written by Masoom Sharqi. Read famous Poem Dil Hai Ki Justuju Ke Sarabon Mein Qaid Hai for youth and Student by Masoom Sharqi. Free Download Dil Hai Ki Justuju Ke Sarabon Mein Qaid Hai in PDF.