Ghar Se Jo ShaKHs Bhi Nikle Wo Sambhal Kar Nikle
ghar se jo shaKHs bhi nikle wo sambhal kar nikle
jaane kis moD pe kis hath mein KHanjar nikle
moajaza ban gai kya aaj meri tishna-labi
ek qatre ke tale kitne samundar nikle
gir gaya ho jo fasilon ko uTha kar KHud hi
kaise ab apne hisaron se wo bahar nikle
rahbaro tum ne to manzil ka pata bhi na diya
tum se behtar to meri rah ke patthar nikle
umr bhar zehn mein chubhta raha ek nashtar-e-gham
jitne ehsas the sab mera muqaddar nikle
tum se chhoDi na gai rah-e-wafa phir bhi 'hayat'
kitne be-dard mile kitne sitamgar nikle
(407) Peoples Rate This