Dil O Nigah Mein Ek Raushni Si Lagti Hai
dil o nigah mein ek raushni si lagti hai
tumhaari yaad se wabastagi si lagti hai
ye kya sitam hai mahakti hui bahaaron mein
har ek chehre pe pazhmurdagi si lagti hai
ye kis ke hath mein aaya hai daur-e-paimana
labon pe apne baDi tishnagi si lagti hai
hum apne ghar mein bhi hain ab musafiron ki tarah
har ek chiz yahan ajnabi si lagti hai
har ek sans pe pahra hai na-KHudaon ka
ye zindagi bhi koi zindagi si lagti hai
hazar shauq numayan the jis nazar se kabhi
wahi nigah baDi ajnabi si lagti hai
'hayat' kaun si ab rah iKHtiyar karen
har ek rah baDi ajnabi si lagti hai
(413) Peoples Rate This