Agarche Kahne Ko Kal Kaenat Apni Thi
agarche kahne ko kal kaenat apni thi
haqiqatan kahan apni bhi zat apni thi
kahen to kis se kahen hum hayat apni thi
na koi din tha hamara na raat apni thi
koi bhi aaj to apna nazar nahin aata
jo tum the apne to kul kaenat apni thi
ye kya ki aaj koi nam tak nahin leta
wo din bhi the ki har ek lab pe baat apni thi
hamare pas raha kya hai ab ghamon ke siwa
wo din gae ki rah-e-shash-jihat apni thi
hamin se bhul kahin ho gai mohabbat mein
wagarna wo nigah-e-iltifat apni thi
jo tum qarib the har shai pe iKHtiyar sa tha
ye chand aur sitaron ki raat apni thi
hamein KHud apni KHirad ka ghurur le Duba
nahin to ek zamane mein baat apni thi
'hayat' is liye nazm-e-kuhan ko toD diya
ki aaj sirf isi mein najat apni thi
(381) Peoples Rate This