Ab Chaman-zar Hi Apna Hai Na Sahra Apna
ab chaman-zar hi apna hai na sahra apna
kal har ek shaKH pe mumkin tha basera apna
baam-o-dar tak na rahe ghar ke to ghar kya apna
ab falak bhi na haTa le kahin saya apna
umr bhar jis ne zamane ki masihai ki
ban saka apne hi gham main na masiha apna
kis ke ghar jaun kise aaj main apna samjhun
apne ghar hi mein nahin koi shanasa apna
phir kasi moD pe ek roz pukaroge mujhe
chahe ab toD do dil se mere rishta apna
tum hamein harf-e-ghalat kah ke miTa bhi na sake
ab bhi har lab pe sar-e-bazm hai charcha apna
sham ho jaegi ek roz to chalte chalte
sath lete chalen hum aaj ujala apna
sath sab chhoD gae rah-e-mohabbat mein 'hayat'
sarf ek sath raha naqsh-e-kaf-e-pa apna
(391) Peoples Rate This