Husn-e-jaanan Nazar Nahin Aata
husn-e-jaanan nazar nahin aata
aah mein kuchh asar nahin aata
shoala-e-gham nazar nahin aata
ab koi bhi idhar nahin aata
dil shab-e-gham se ho gaya manus
ab KHayal-e-sahar nahin aata
ishq ehsan se ibarat hai
ishq-e-nadan nazar nahin aata
hosh-mandon ki is KHudai mein
koi diwana-gar nahin aata
kab se hain farsh-e-rah dida-o-dil
aane wala magar nahin aata
jab se tum ne nigah pheri hai
koi apna nazar nahin aata
jab se 'maikash' bahaar aai hai
daman-e-dil nazar nahin aata
(470) Peoples Rate This