Hujum-e-be-KHudi Mein Gham Ki Taswiren Nazar Aain
hujum-e-be-KHudi mein gham ki taswiren nazar aain
mujhe shishe mein jab rindon ki taqdiren nazar aain
mere zehn-e-rasa ne jazb kar lin hausla pa kar
ruKH-e-gul par mashiyyat ki jo tahriren nazar aain
dar-e-zindan se chhuT kar bhi wahi hai silsila yani
ki ek zanjir TuTi lakh zanjiren nazar aain
chaman wale jinhen jaan-e-chaman kahte the wo kaliyan
mujhe to dagh-ha-e-dil ki taswiren nazar aain
na jaane kitne parde darmiyan hail rahe lekin
shab-e-wada tasawwur mein wo tanwiren nazar aain
wahin par himmat-e-insaniyat ne sans toDa hai
jahan taqdir se marub tadbiren nazar aain
koi afsana samjhe ya bayan-e-waqia samjhe
mujhe ek KHwab-e-nadida ki tabiren nazar aain
wo insan KHud-shanasa-e-rumuz-e-dil nahin 'maikash'
ki jis ko zarf-e-rindana mein taqsiren nazar aain
(416) Peoples Rate This