Hayat-o-maut Ke Parde Gira Ke
hayat-o-maut ke parde gira ke
tumhein dekha hai tum se bhi chhupa ke
mujhe taDpa rahe hain yaad aa ke
wo lamhat-e-hasin ahd-e-wafa ke
wahan daman ko uljhae hue hun
guzarna tha jahan daman bacha ke
meri KHuddariyon ki laj rakh li
main sadqe us dil-e-be-muddaa ke
teri mahfil mein KHali hath aae
kisi ummid par sab kuchh luTa ke
KHayalon mein tere aanchal ko dekha
sitare jab bhi chaTke muskura ke
KHabar bhi hai tujhe ai jaan-e-'maikash'
fasane ban gae har har ada ke
(413) Peoples Rate This