Tarjuman-e-mustaqbil

teri nigah ki hai pasban-e-mustaqbil

suna rahi hai hamein dastan-e-mustaqbil

teri hayat ki hai tarjuman-e-mustaqbil

liye hai kaif-o-nashat-e-jahan-e-mustaqbil

hai sar-buland kabhi se nishan-e-mustaqbil

zamin ko tu ne kiya aasman-e-mustaqbil

tujhi se ghairat-e-kashmir hai dayar-e-watan

tujhi se rashk-e-iram gulistan-e-mustaqbil

tere yaqin ne kiya hai wo inqilab-e-azim

ki ahd-e-haal pe ab hai guman-e-mustaqbil

chaman ke KHwab ki tabir hai junun tera

hue hain ghuncha-o-gul nukta-dan-e-mustaqbil

tere nafas-ba-nafas irtiqa zamane ka

tere qadam-ba-qadam hai zaman-e-mustaqbil

shab-e-hayat ki is be-panah zulmat mein

nuqush-e-pa hain tere kahkashan-e-mustaqbil

har ek nafas hai tera ham-rikab asr-e-rawan

har ek nazar hai teri karwan-e-mustaqbil

amin-e-raaz wahi hai watan ki qismat ka

tera 'jamal' ki hai raaz-dan-e-mustaqbil

(434) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tarjuman-e-mustaqbil In English By Famous Poet Masood Akhtar Jamal. Tarjuman-e-mustaqbil is written by Masood Akhtar Jamal. Read famous Poem Tarjuman-e-mustaqbil for youth and Student by Masood Akhtar Jamal. Free Download Tarjuman-e-mustaqbil in PDF.