Sadr-e-jamhuriya-e-hind
sadr-e-jamhuriya-e-hind
yaqinan aap faKHruddin bhi naz-e-umam bhi hain
ali-ahmad bhi hain aagah aadab-e-haram bhi hain
waqar-e-hosh bhi azmat-faroz-e-ilm-o-danish bhi
girami-qadr bhi zi-tamkanat bhi mohtaram bhi hain
tab-o-tab-e-chaman bhi zauq-e-tamkin-e-bahaaran bhi
jahan-e-shauq ka afsana-e-jah-o-hasham bhi hain
karishma hai KHuda ka aap ke ausaf ke qail
dayar-e-barahman ke dewta bhi hain sanam bhi hain
taqaddus mauj-e-dariya ka latafat aabgine ki
mujassam shaukat-e-dauran sarapa jam-e-jam bhi hain
jalal-e-barq bhi hain zalimon ke waste lekin
gharibon ke liye sarmaya-e-lutf-o-karam bhi hain
jo nisbat aap ko 'ghaalib' se hai us ke talluq se
qadam-bosi ke KHwahan sahib-e-saif-o-qalam bhi hain
(535) Peoples Rate This