Saqi Bhi Mai-e-gulfam Bhi Hai Rindon Ko Sala-e-am Bhi Hai
saqi bhi mai-e-gulfam bhi hai rindon ko sala-e-am bhi hai
gardish mein chhalakta jam bhi hai bahken to magar ilzam bhi hai
sab kuchh main luTa deta lekin kya kahiye ki un ki nazron mein
hushyari ki talqin bhi hai sar-masti ka paigham bhi hai
tanwir-e-numud-e-subh bhi hai aariz ke damakte jalwon mein
zulfon ke machalte sae mein taswir-e-sawad-e-sham bhi hai
ai dil ye junun ki manzil hai kuchh sud-o-ziyan ki fikr na kar
har gam pe yan rahraw ke liye aaghaz bhi hai anjam bhi hai
ab dair-o-haram ki shorish ko ai waiz-e-nadan bhul bhi ja
ye bazm ki bazm-e-rindan hai yan kufr bhi hai islam bhi hai
shohrat bhi mili izzat bhi mili lekin ye 'jamal'-e-naghma-sara
dil-gir bhi hai barbaad bhi hai nashad bhi hai nakaam bhi hai
(415) Peoples Rate This