Yunhi Fareb-e-nazar Ki Tanab TuTti Hai
yunhi fareb-e-nazar ki tanab TuTti hai
qadam baDhaiye mauj-e-sarab TuTti hai
jahan chaTakta hai ghuncha zamin-e-alam par
wahin pe tishnagi-e-aftab TuTti hai
naqab uThao to har shai ko paoge salim
ye kaenat ba-taur-e-hijab TuTti hai
darun-e-ab sanwarte hain sad-harim guhar
kanar-e-bahr jo mehrab-e-ab TuTti hai
mukashafat ke TukDe hain zehn ke auraq
kitab utarti nahin hai kitab TuTti hai
bas ek aan mein khulta hai qufl dariya ka
bas ek aan mein qaid-e-hubab TuTti hai
hain is shikast mein KHalq-e-jadid ke asrar
haqiqat aaj bhi ham-rah-e-KHwab TuTti hai
kamal shai hai kamar bhi hasina-e-gham ki
jilau mein le ke kai inqalab TuTti hai
(443) Peoples Rate This