Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_64cba31009e67f2053d67e82a07b1ffb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jis Ko Dekho KHwab Mein Uljha BaiTha Hai - Mashkoor Husain Yaad Poetry In English - Darsaal

Jis Ko Dekho KHwab Mein Uljha BaiTha Hai

jis ko dekho KHwab mein uljha baiTha hai

apne hi payab mein uljha baiTha hai

aansu aansu jis ne dariya par kiye

qatra qatra aab mein uljha baiTha hai

bhul ke jauhari apne lal-o-jawahar ko

shauq-e-dur-e-nayab mein uljha baiTha hai

wo jo bagula ban kar uDta phirta tha

dhaga dhaga sarab mein uljha baiTha hai

nisf nahaar pe yun lagta hai suraj bhi

waqt ki aab-o-tab mein uljha baiTha hai

yaad-e-kitab-e-shauq na hogi KHatm kabhi

insan ek ek bab mein uljha baiTha hai

(413) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ko Dekho KHwab Mein Uljha BaiTha Hai In English By Famous Poet Mashkoor Husain Yaad. Jis Ko Dekho KHwab Mein Uljha BaiTha Hai is written by Mashkoor Husain Yaad. Read famous Poem Jis Ko Dekho KHwab Mein Uljha BaiTha Hai for youth and Student by Mashkoor Husain Yaad. Free Download Jis Ko Dekho KHwab Mein Uljha BaiTha Hai in PDF.