Baaton Ke Nagar Se Aa Rahe Hain
baaton ke nagar se aa rahe hain
hum apne hi ghar se aa rahe hain
lafzon ke tulua kar ke aafaq
mani ke safar se aa rahe hain
KHamoshiyan bhar ke tan-badan mein
hum barq o sharar se aa rahe hain
taron ke ye jitne qafile hain
imkan-e-sahar se aa rahe hain
in ashkon ka dil se kya talluq
ye shoale jigar se aa rahe hain
bhige hue gham mein sar se pa tak
dariya-e-hunar se aa rahe hain
jitne bhi hain lutf-e-jaan ke mausam
sab dida-e-tar se aa rahe hain
ye gham ke tuyur be-tahasha
ek dil ke shajar se aa rahe hain
'mashkur' hain kis KHayal mein mast
be-KHauf-o-KHatar se aa rahe hain
(441) Peoples Rate This