Mere Aasman Ke Chand Ko KHabar Do
ajib uljhan si raha karti hai in dinon mujh ko
mere aasman ke chand ko KHabar do
yunhi der tak raat raat bhar jagti hun
tare ginti hon yaaden jama karti hun
aur subh hone tak sab bhul jati hun
be-kar sochen ghere rahti hain hama-waqt mujh ko
mere aasman ke chand ko KHabar do
suiT pasand karne dukan par jati hun
bahut se kapDe leti hun muskuraati hun
ghar aa kar jun hi use sochti hun
apne KHaride hue suiT udas kar dete hain mujh ko
mere aasman ke chand ko KHabar do
khiDki kholti hun band karti hun
barha siDhiyon tak ja ke palaTti hun
kamre mein baiThti hun kabhi Tahalti hun
na jaane kahan gaya milta nahin ab dil mujh ko
mere aasman ke chand ko KHabar do
ji lagta hai is duniya se ub chuka hai
ajib wahshat hai ki har jagah se ayan hai
sans to chalti hai zindagi Thahri ek jagah hai
KHud-kushi ki KHwahish bahut satati hai mujh ko
mere aasman ke chand ko KHabar do
(6754) Peoples Rate This