Wo Pech-o-KHam Jo Alag Meri Rahguzar Se Tha
wo pech-o-KHam jo alag meri rahguzar se tha
mujhe KHabar hai numayan mere safar se tha
guzar gaya tha kisi raaz ki tarah wo naqsh
dhula hua jo meri KHak-e-KHair-o-shar se tha
hawa ke sath safar ka na hausla tha jise
sabhi ko KHauf usi lamha-e-sharar se tha
kanar-e-sham ufuq tha wahi magar viran
KHala ke silsila-e-lams ke asar se tha
ruka hua tha KHamoshi ki tah mein sail koi
KHatar use bhi meri tarah bahr-o-bar se tha
meri nigah mein hael the barg-o-bar-e-KHizan
ghira hua main ajab saya-e-shajar se tha
(458) Peoples Rate This