KHala Ka KHauf Pas-e-parda-e-ghubar Nahin
KHala ka KHauf pas-e-parda-e-ghubar nahin
hisar-e-KHak se phir bhi koi farar nahin
ubur kar lin haden hum ne na-rasai ki
magar tawalat-e-imkan mein iKHtisar nahin
yahi bahut hai ki miTTi jaDon se lipTi hai
wagarna aaj daraKHton mein barg-o-bar nahin
kahin ye sail-e-safar raegan na sabit ho
ki justuju ke shab-o-roz ka shumar nahin
simaT rahe hain wo ek Dubte jazire mein
abhi ye raaz kinaron pe aashkar nahin
zamin ki KHushk ragon mein rawan jo rahta tha
kanar-e-dasht-e-hawas ab wo aab-zar nahin
(406) Peoples Rate This