UDte Hue Parindon Ke Shah-par SameT Lun
uDte hue parindon ke shah-par sameT lun
ji chahta hai sham ke manzar sameT lun
lab par ugaun us ke dhanak phul qahqahe
aaankhon mein us ki phaila samundar sameT lun
pahle milan ka phul khile ruh mein teri
bahon mein tujh ko le ke tere Dar sameT lun
mumkin nahin hai phir bhi main ye chahta hun kyun
aKHbar par sulagte hue ghar sameT lun
chadar dun apne ahd ki zainab ko aur baDhun
nezon pe jo saje hain sabhi sar sameT lun
(398) Peoples Rate This