Palkon Par Moti Rakkhe Hain Sochon Par SannaTa Hai
palkon par moti rakkhe hain sochon par sannaTa hai
tabiron ka shor bahut hai KHwabon par sannaTa hai
aaankhon se baaten karne ka mausam hai KHamosh raho
aur to sab kuchh jaez hai yan lafzon par sannaTa hai
din to KHair guzare hum ne hans kar bhi chup rah kar bhi
lekin jab se bichhDe hain tum se raaton par sannaTa hai
shayad ab mausam ke panchhi aaen to chahkar uDe
chiDiyon ke ghar jab se ujDe peDon par sannaTa hai
kaun se din hain bachchon ke bin raste sune sune hain
koi zulf nahin lahraati galiyon par sannaTa hai
kis se kah kar halke ho len koi ab milta hi nahin
dil mein huk bahut uThti hai honTon par sannaTa hai
(416) Peoples Rate This