Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6bdf56843a41f5b6920cd2959c24384e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Jaan Se Hai Aziz Use Tu Juda Bhi Rakh - Marghoob Ali Poetry In English - Darsaal

Jo Jaan Se Hai Aziz Use Tu Juda Bhi Rakh

jo jaan se hai aziz use tu juda bhi rakh

KHushiyon ke munh mein dard bhara zaiqa bhi rakh

har rasta kahin na kahin muD hi jaega

rishton ke bich thoDa bahut fasla bhi rakh

yun bhi na ho ki jo bhi uThe tujh mein jhank le

KHud mein na yun simaT koi dard-ashna bhi rakh

aisa na ho ki taza hawa ajnabi lage

kamre ka ek-adh daricha khula bhi rakh

shaKH aur phul rishta-e-yak-lamha ke asir

apni talab ke samne ye aaina bhi rakh

(436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Jaan Se Hai Aziz Use Tu Juda Bhi Rakh In English By Famous Poet Marghoob Ali. Jo Jaan Se Hai Aziz Use Tu Juda Bhi Rakh is written by Marghoob Ali. Read famous Poem Jo Jaan Se Hai Aziz Use Tu Juda Bhi Rakh for youth and Student by Marghoob Ali. Free Download Jo Jaan Se Hai Aziz Use Tu Juda Bhi Rakh in PDF.