Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_acd1b38b8338b3fc1fc6c3470d2282d3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum To Gum Ho Gae Haalat Ke SannaTe Mein - Marghoob Ali Poetry In English - Darsaal

Hum To Gum Ho Gae Haalat Ke SannaTe Mein

hum to gum ho gae haalat ke sannaTe mein

hum ne kuchh bhi na suna raat ke sannaTe mein

harf nakaam jahan hote hain un lamhon mein

phul khilte hain bahut baat ke sannaTe mein

shor hangama sada tabl-o-alam naqqare

Dub jate hain sabhi mat ke sannaTe mein

raat paDte hi har ek roz ubhar aati hai

kis ke rone ki sada zat ke sannaTe mein

zehn mein phulon ki manind khila karte hain

hum ne wo pal jo chune sath ke sannaTe mein

(425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum To Gum Ho Gae Haalat Ke SannaTe Mein In English By Famous Poet Marghoob Ali. Hum To Gum Ho Gae Haalat Ke SannaTe Mein is written by Marghoob Ali. Read famous Poem Hum To Gum Ho Gae Haalat Ke SannaTe Mein for youth and Student by Marghoob Ali. Free Download Hum To Gum Ho Gae Haalat Ke SannaTe Mein in PDF.