Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_42744d08f9db70873bcf90ecb87f1f01, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Din Guzar Jata Hai Par Raat Se Ji Darta Hai - Marghoob Ali Poetry In English - Darsaal

Din Guzar Jata Hai Par Raat Se Ji Darta Hai

din guzar jata hai par raat se ji Darta hai

chhat shikasta ho to barsat se ji Darta hai

phul shaKHon pe bhi murjha ke bikhar jate hain

tu ho gar sath tere sath se ji Darta hai

aabgine mein talluq ke na baal aae kahin

baat karte hue har baat se ji Darta hai

chandni raaten na aaen ye dua karta hun

ab to guzre hue lamhat se ji Darta hai

phir tamazat tere pahlu ki jaga deti hai

nind mein bhi teri is ghat se ji Darta hai

(532) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Guzar Jata Hai Par Raat Se Ji Darta Hai In English By Famous Poet Marghoob Ali. Din Guzar Jata Hai Par Raat Se Ji Darta Hai is written by Marghoob Ali. Read famous Poem Din Guzar Jata Hai Par Raat Se Ji Darta Hai for youth and Student by Marghoob Ali. Free Download Din Guzar Jata Hai Par Raat Se Ji Darta Hai in PDF.