Dhundle Dhundle PeD Ugti Sham Ki Sargoshiyan
dhundle dhundle peD ugti sham ki sargoshiyan
jo hai shah-e-rag ke qarin us nam ki sargoshiyan
jab bhi socha sar uTha kar ab jiyenge kuchh dinon
gher leti hain hamein anjam ki sargoshiyan
phir gali kuchon mein sannaTon ka shayad raqs ho
banTte hain log ek paigham ki sargoshiyan
kyun qabile mein bahut se log bad-zan ho gae
chand ne sun li thin kal kya baam ki sargoshiyan
raat qatra qatra Tapken aankh se majburiyan
sham lamha lamha ubhrin jam ki sargoshiyan
aane wali rut mein bhi shayad na banne den hamein
aaj tak guzre hue ayyam ki sargoshiyan
(423) Peoples Rate This