Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a44a9543c8bd39b3d04fd8f3dc53c72b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ajib ShaKHs Hai Kaisi Ye Justuju Hai Use - Marghoob Ali Poetry In English - Darsaal

Ajib ShaKHs Hai Kaisi Ye Justuju Hai Use

ajib shaKHs hai kaisi ye justuju hai use

palak se KHar uThane ki aarzu hai use

wo KHwahishon ke diye har qadam jalata hai

talash kaun se chehre ki chaar su hai use

wo taq taq jo yaadon ke phul rakhta hai

ye kis junun ki diwar ru-ba-ru hai use

zamane bhar ke sitare hain aankh ke aage

bas ek nam hi kyun harf-e-guftugu hai use

kyun ek KHwab ko aankhon mein le ke phirta hai

kyun ek dard ka ehsas ku-ba-ku hai use

(461) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib ShaKHs Hai Kaisi Ye Justuju Hai Use In English By Famous Poet Marghoob Ali. Ajib ShaKHs Hai Kaisi Ye Justuju Hai Use is written by Marghoob Ali. Read famous Poem Ajib ShaKHs Hai Kaisi Ye Justuju Hai Use for youth and Student by Marghoob Ali. Free Download Ajib ShaKHs Hai Kaisi Ye Justuju Hai Use in PDF.