Na Gul Se Kaam Hai Hum Ko Na Kuchh Gulzar Se Matlab
na gul se kaam hai hum ko na kuchh gulzar se matlab
ba-jaan rakhte hain ek hamdam badal ek yar se matlab
na kaam aalam se hai hum ko na hur-ul-ain-e-jannat se
hai ek madhosh dana-tar ba-dil-hoshiyar se matlab
na millat hai na mazhab hai na hai matlab koi apna
visal-e-yar mazhab hai aur hai didar se matlab
tasawwur hai na kaam apna siwa murshid ki nisbat ke
tujhe hai in dinon ai dil shah-e-karrar se matlab
kaha makru-o-makrullah KHair-ul-makrin jis ne
chhupa KHud mujh ko zahir kar hai us makkar se matlab
main wo wasil hun dilbar se ki dil apna hai wo dilbar
raha dil hi se kaam apna usi gham-KHwar se matlab
na hum ye hain na hum wo hain na hum hargiz hain goshe mein
ghulam-e-qul-ho-allah hain isi izhaar se matlab
na kafir hain na momin hain na masjid hai na mai-KHana
na tasbih-o-musalla hai na hai zunnar se matlab
na hum aadam na hawwa hain na hum hur-o-malak yaro
na hum ganjina pinhan hain na hai izhaar se matlab
zawal-e-jaan-o-tan hai yan na hirs-o-ma-o-man baqi
habab-e-ab-e-dariya hain na hai iftar se matlab
nasab ho ya hasab donon mubarak howen zahid ko
tujhe to hai faqat 'mardan' shah-e-abrar se matlab
(505) Peoples Rate This