Lakh Dekhun Tujhe Phirti Nahin Niyyat Meri
lakh dekhun tujhe phirti nahin niyyat meri
dil hai qabu mein mera ab na tabiat meri
aa ke pahlu mein mere baiTh main ho jaun nisar
hai tamanna to yahi hai yahi hasrat meri
dam-e-aKHir tu mere pas bhala aa be-dard
teri furqat mein koi dam mein hai ruKHsat meri
qabr par meri agar fatiha paDhne ke liye
wo jo aa jaen to tharra uThe turbat meri
tum ko dekha karun har waqt sarapa hun fana
karti rah rah ke taqaza hai ye haalat meri
zinda dargor hun lekin mujhe zinda na samajh
ek muddat jo yahi rah gai haalat meri
kushta-e-naz hun jin ka hai unhin ka kaunain
sarwat-e-jam se uThegi wo hai mayyat meri
baad-e-murdan bhi main bimar-e-mohabbat hi rahun
ta-qayamat na ho yarab kabhi sehat meri
hech duniya hai zar-o-mal hai sab hech magar
ek mohabbat teri 'mardan' hai ye daulat meri
(491) Peoples Rate This