Kaam Itna Mere Pyare CharKH-e-kuhan Se Nikle
kaam itna mere pyare charKH-e-kuhan se nikle
tum se na hun juda main jab jaan tan se nikle
tum haalat-e-naza mein bhi pas mere rahna
ta kalima-e-mohammad mere dahan se nikle
yarab na ta-qayamat muhtaj hun kisi ka
jo ho meri tamanna wo panj-tan se nikle
wahshat na qabr mein ho tum samne hi rahna
dast-e-junun na mera bahar kafan se nikle
hai lutf zindagi ka baad-az-fana usi mein
nam-e-KHuda jo apne sab tan-badan se nikle
roza namaz tasbih pahunchaenge na wan tak
hoga visal usi ko jo ma-o-man se nikle
apni KHabar na baqi rah jaegi kisi ko
parde se gar kahin wo ek bankpan se nikle
yaad-e-qad-e-sanam mein main dun misal us waqt
jab kaam koi mera sarw-e-chaman se nikle
'mardan' jo koi Dube dariya-e-ishq mein wo
chhoTe KHudi se apne hubb-e-watan se nikle
(456) Peoples Rate This