Dil Hai Raushan Ki Hai Dil Mein RuKH-e-raushan Un Ka
dil hai raushan ki hai dil mein ruKH-e-raushan un ka
zer-e-fanus-e-badan shama hai joban un ka
did un ki hai visal un ka tasawwur un ka
jaan un ki hai jigar un ka hai tan-man un ka
hain wo kashana-e-dil mein kabhi aankhon mein kabhi
KHana tan hai mera ghar bhi aur aangan un ka
hai tasawwur jo unhin ka to wo hain pesh-e-nigah
ho KHayal un ke siwa gar to hai rahzan un ka
hain tumhin mein wo tum apne ko to dekho ho kaun
jin ko kahte ho ki hai arsh pe maskan un ka
jaan un ki hai har ek jaan kahan par wo nahin
donon aalam mein yahi ramz hai muzman un ka
baiThe baiThe wo kiya karte hain har gul pe nazar
dil-e-ashiq hai magar sair ka gulshan un ka
wo hamare hain hum un ke hain unhin ka ye zuhur
jaan un ki hai yahi jaan bhi tan-man un ka
aa ke ghar mein mere 'mardan' na wo jaane paen
ta-qayamat na chhuTe hath se daman un ka
(462) Peoples Rate This